Saturday, May 29, 2010

Hazaaron Khwaishein Aisi

Hazaaron khwaishein aisi ke har khwaaish pe dam nikle,
Bahut nikle mere armaan, lekin phir bhi dam nikle..

Thousands of desires, each worth dying for,
I have realized many of my wishes; yet I yearn for more..

Nikalna khuld se aadam, ka sunte aae the lekin,
Bahut be aabroo ho kar tere kuche se ham nikle..

Often have we heard about Adam's exile from Eden,
With even more humiliation I walked out from your door..

Mohabbat mein nahin hai farq jeene aur marne ka,
Usi ko dekh kar jeete hain, jis kaafir pe dam nikle.

When in love, there is little difference between life and death,
The same infidel is my life, for whom I could give my last breath..

Khuda ke waaste parda na kaabe se uthaa zaalim,
Kaheen aisa na ho yaan bhi wahi kaafir sanam nikle..

For God's sake, don't lift your veil,
The infidel may turn out to be my lover..

Kahaan maikhana ka darwaaza Ghalib, aur kahaan waiz,
Par itna jante hain kal woh jaata tha ke ham nikle.

Aren't the doors of the Preacher and the Bar poles apart?
But yesterday I saw him enter, as I was coming out..