Wednesday, June 9, 2010

Agar Hum Kahen Aur Wo Muskura Dein - Jagjit Singh

Agar hum kahen aur wo muskura dein
Hum unke liye zindgaani luta dein


If I say something and she smiles at me,
I could give up my life for her..


Har ik mod par hum gamon ko sazaa dein
Chalo zindagi ko mohabbat bana dein


At every step in life, lets punish the sorrows,
And fill this life with love..


Agar khud ko bhoole to kuch bhi na bhoole
Ke chaahat mein unkee khuda ko bhula dein


If I forgot myself, its as good as forgetting nothing,
In your love, I can forget God..


Kabhi gam kee aandhee jinhen choo na paaye
Wafa ke hum wo nashe-man bana dein


Safe from the storms of sorrows,
Lets us build a fort with our faith..


Qayaamat ke deewaane kehte hain humse
Chalo unke chehre se parda hata dein


Some people dont fear a catastrophe and tell me
Lets unveil the mask from her face..


Saza de silaa de, bana de mitaa de
Magar wo koi faislaa to sunaa de


Punish me, judge me, make it or destroy it..
But atleast pass your judgement

Saturday, June 5, 2010

Jhuki Jhuki Si Nazar

jhuki jhuki si nazar beqaraar hai ke nahin
daba daba sa sahee dil mein pyaar hai ke nahin


Is this downcast gaze filled with longing or no..
Maybe repressed, but is there love in your heart or no?


tu apne dil ki jawaan dhadkanon ko gin ke bata
meri tarah tera dil beqaraar hai ke nahin


Count the young beats of your heart and tell me,
If your heart is as restless as mine or no..


wo pal ke jis mein mohabbat jawaan hoti hai
us ek pal ka tujhe intezaar hai ke nahin


Those moments in which love flourishes,
Are you waiting for that one moment or no?


teri umeed pe thukraa raha hoon duniya ko
tujhe bhee apne pe ye aitbaar hai ke nahin


In hope of you, I am giving up this world..
Do you also have as much faith or no?

Saturday, May 29, 2010

Hazaaron Khwaishein Aisi

Hazaaron khwaishein aisi ke har khwaaish pe dam nikle,
Bahut nikle mere armaan, lekin phir bhi dam nikle..

Thousands of desires, each worth dying for,
I have realized many of my wishes; yet I yearn for more..

Nikalna khuld se aadam, ka sunte aae the lekin,
Bahut be aabroo ho kar tere kuche se ham nikle..

Often have we heard about Adam's exile from Eden,
With even more humiliation I walked out from your door..

Mohabbat mein nahin hai farq jeene aur marne ka,
Usi ko dekh kar jeete hain, jis kaafir pe dam nikle.

When in love, there is little difference between life and death,
The same infidel is my life, for whom I could give my last breath..

Khuda ke waaste parda na kaabe se uthaa zaalim,
Kaheen aisa na ho yaan bhi wahi kaafir sanam nikle..

For God's sake, don't lift your veil,
The infidel may turn out to be my lover..

Kahaan maikhana ka darwaaza Ghalib, aur kahaan waiz,
Par itna jante hain kal woh jaata tha ke ham nikle.

Aren't the doors of the Preacher and the Bar poles apart?
But yesterday I saw him enter, as I was coming out..